Hello dosto ,
Aaj ke hamare is blog page ham dekh rahe honge COMPUTER ke 2 sabse important part ke bare me ya yu kahen to pura computer ko ham 2 part me devide kar sakte hai part wise .
Is sansar me , bahut tarah ke computer paye jate hai , chote, bade , chote star par kam karne wale , bade star par kaam karne wale etc .... par sabhi tarah ke computer me ak baat common hai aur wo hai uska hardware aur sofware . Isiliye aaj ke hamare iss blog me ham pahle HARDWARE aur SOFTWARE ke bare me achche se janenge . To aayiye suru karte hai ..........
COMPUTER HARDWARE Kya hai ? :-
Hardware kisi bhi computer ka wo physical components or parts hai jise ham touch kar sakte hai . Har tarah ke kisi bhi computer ko banane me inhi sab primary devices ki jarurat padti hai . Hardware ko ham kabhi kabhi " machinary or equipments of computer " bhi bolte hai .
Aap ak computer ya desktop me aur usse judi hui sabhi instruments , jo aapko dikhai deti wo sab hardware ke examples hai jaise --
- Processor
- Memory devices
- Monitor
- Printer
- Keyboard
- Mouse
- The Central Processing Unit etc........
COMPUTER SOFTWARE Kya hai ? :--
Computer ka software computer system me perform hone wale task , documentations , aur instruction ka collection hai .
Dusre sabdo me kaha jaye to computer software ak programming code hai jise ham computer ke processor par execute karate hai . ( code - computer ke liye likhi gayi language jisse ham computer ko apni bate samjha sake ) .
Yeah code do tarah ki ho sakti hai - machine level and high or long level
Computer software ko yadi ham exam ke rup me dekhna chahe to , wo examples honge .........
- MS Word
- excel
- Power Point
- Goggle Chrome
- Photoshop
- MYSQL ..... etc .....
COMPUTER kya hai aur uske bare me basic knowledge lene ke liye link par clock kare :-
https://gyanwithanjaan.blogspot.com/2021/01/basic-gyan-about-computer-computer-kya.html
Comments
Post a Comment