Hello dosto , welcome to my new blog . In this blog , we will learn all basic thing about computer and a overview about computer .
COMPUTER kyu ? :-
Dosto aaj ke genration me jistarah se technology grow kar rahi hai , aur jaise jaise tarah tarah ke equipments hamare karyo me sahayta pradan karne ke liye banaye ja rahe hai , ushisab se kahe to hamsabhi ko aaj ke samay me chahe aaj ham kisi bhi field me ho , par hame computer ke bare me ak basic idea to jarur hona chahiye . Qki aaj ke samay computer jo hamare life me aane wali bhut si problems ko bahut hi aasani se solve kar deta hai.
to aayiye dosto ham hamare is blog me baat karte hai ab ki computer hota kya hai .
COMPUTER kya ? :-
Dosto COMPUTER ak aisa electronic device hai , jo user se mile data ko input ke rup me leta hai , phir usme die gaye instruction ke anusaar usme process karta hai aur phir process karne ke baad information ko result ke rup me hame pradan karta hai .
ya ham ise aise bhi kah sakte hai ki COMPUTER ak electronic machine hai , jo user se mile instruction ko follow karti hai .
COMPUTER use ? (kaam) :-
Mainly , COMPUTER ka use simple kaam karne me kia jata tha , par jaise jaise technology grow karti gayi , waise waise computer se hone wale kaam bhi badte gaye .
Aaj ke samay me computer se nahut se kaam aasani se kiye jate hai jaise ---
- Sending E-mails
- Playing games
- Searching web browser
- Making videos
- edditing , E-commerce
- coding
- online customer services like - transfer money , travel ticket booking etc
- aerospace
- making movies
- seating arrangement in hotel
- banking
To dosto aaj ke hamare is blog me itna hi , aasha hai aapko hamara blog achcha laga ho , isitarah ke blog padne ke liye hamare is blog website ke sath jude rahe .
milte hai agle blog me , tab tak ke liye dhanyawad dosto !
Very nice
ReplyDelete